An Evening at the Sea
Monday, 1 October 2012
Intezaar....
Shayad ye intezar kabhi khatma na hoga...
Eid ke chand ka deedar hame kabhi na hoga...
Dost...
Tere liye likhne baithe to ae dost, labj gum ho gaye kahin…..
socha ke teri ehmiyat tuze bata de meri zindagi me….
shuru to kiya badi aasani se par khatma na ho paye kahin…
Subaha....
Kaash ke koi subaha kabhi khatma hi na ho…
Suraj ki komal kirne na tez ho, na aankhon se ozal ho…
Naye din ki nayi shuruaat ka koi ant na ho….
Mehfil....
Mehfil khatma ho gayi….Maikhane khali ho gaye…
Meri nigahen tarasti reh gayi….
Dil ke armaan khayaalon me hi doob kar reh gaye…
saagar....
Teri leheron ki khanak rooh ko chhoo jati hai….
Ye paani ki mehek kisi aur duniya me le jaati hai…
Khinchi chali aati hun tere paas…
Teri gehraai muze apne aap se milati hai…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~*~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh kinare se takraati leheren….
Yeh leheron pe chamakte sitare….
Sitaron ki har pal badalti chamak…..
Kaise na koi deevana ho tera….
Tere khare paani se hai mera naata koi gehra……
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~*~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisiko tere khare paani se shikayat…..
to kisiko teri gehraai se muhabbat….
Kinare se to kaiyon ne tuze saraha…..
tuze kya khabar, muze hai tuzme samane ki chahat…
Tanhaaiyan....
Tanhaaiyan aksar ateet me le jaati hai…
Jahan tum mil jaate ho….
Hosh sambhalte hi ajnabi se nazar aate ho….
Ya to ateet ki gehraai me itna doob jaye,
Ke meri jindagi me tera nam o nishan bhi na ho….
Ya to hosh aise sambhale,
Ke dil pe tera ikhtiyaar hi na ho…
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)